
kya hua jo tha sapna
sochatha jab videsh hain apna
aankhon mein kithne khwab they sajhe
jo haqeekat ke ek jhalak se bhuje
socha mauj masti karenge itna
kabhi ghar ki yaad na aaye jithna
magar jab kam kar kar ke thake
maa baap ki yaad karthe na rukhe,
kya thi woh zindagi kya tha main wahan
tanhayion mein khogaya hu jab se aaya main yahan
ab dekhtha hu khwaab ghar laut jaaneke
doston se milke unko gale lagane ke
shayad hi poori hogi meri yeh khwab
achha toh hum chalte hain milte hain kabhi aur janab
Source:
http://comfortablyhurt.blogspot.com/
1 comment:
even though you reproduced my work in your blog thank you for mentioning my blog in the source i appreciate that
Post a Comment